MeherbaDhanyavad ---------------------------- Chorus Koti janam ki meri tapasya, thune safal banayi-2 Isi janam mein mauka dekar-2, seva thune karayi, Meher Ba dhanyavad, Meher Ba dhanyavad.. 1. Janam Maran ya sukh dukh bandhan, paap punya sab mithya hai Manonash nahi jab thak hota, miththi nahi samasya hai Lethe ho Avatar mitane, maya ki chaturai, Meherba dhanyavad-4 2. Main gaatha hoon naam tera, ye koi upkaar nahi Tera karya tho aisa karya hai, koi bhi kar saktha nahi, Tera hi upkar hai mujh par, kaise ho uthrai, Meherba dhanyavad-4 3. Jab Jab naam ratoon main tera, ye tan halka hota hai Man ka bhoj uthar jaatha hai, jeevan sunder lagta hai Ek ek kar sari samasya, thune hee hatvayi, Meherba dhanyavad-4 4. Duniya se kya lena dena, tera mera saath jo hai Nahi shikayat kisise meri, teri kripa ki dhara bahe Jab jab aaoo dharti par prabhu, gaaun teri prabhuthayi, Meherba dhanyavad-4 5. Har ghatna ho jeevan main jo, marzi teri manu main nahi karu main koi kaamna, meher meher gaaun main Madhusudan ne sab kuch tyaga, tujhse ki hai sagai, Meherba dhanyavad-4 Chorus….